khwab Mein Barish dekhna Ki Tabeer

Saad Ali
0
khwab Mein Barish dekhna Ki Tabeer
khwab Mein Barish dekhna Ki Tabeer

Khwab Mein Barish Dekhna

Hazrat Danyal (A.S) Ne Farmaya Ke Barish me Rub Tallah Ke Terf Se Bando per Rehmat or Barket he Jub Amm Barish ho or Sub Jagha Pohnchy. Farmany Haq Tallah he  (وَهُوَ الَّذِي يُنَزِّلُ الْغَيْثَ مِن بَعْدِ مَا قَنَطُوا وَيَنشُرُ رَحْمَتَهُ ) Tarjuma (اس کی ذات پاک ہے جو نا امیدی کے بعد بارش برسا تا ہے اور اپنی رحمت کو پھیلا تا ہے).

Or Barish Ka Waqat per Dekhna Acha he khass ker Jub Log Barish Ko Chahy to Nahyat Nacke he.

Jub ap Khawab me Barish Sirf apny Ghr Ya Kochy me dekhy Jo Boht Tez Bars rehi he or apky Ghr Ky Ilawa kehi or Barish nehi ho rehi to is ke Daleel he k Ap per Bimari Or Moseebat Any Wali he.

Jub Ap Khawab me Dekhy Apke ghr per Barish Ahista Ahista ho rehi he to Daleel he k Khair-o-Barket Piy gy.

Or Egr Khawab me pehly Saal (اول سال) ya Pehly Maheny (اول ماہ) Barish Barsi he to Daleel he k is Saal or is Maheny me Frazi Namet (فراضی نعمت) zyada ho ge.

Or egr Khawab Mein Barish Saht or Syah (سخت اور سیاہ) he to Daleel he ke Bimari me Hallaket ( ہلاک) Piy Ga.


khwab Mein Barish Dekhna Ki Tabeer

Hazrat Sirin (A.S) ne Farmaya he ke egr Koi Shaks Khawab me Saht Barish (سخت بارش) Dekhy Jo ky Apny Waqat Per pari he to Daleel he ke In Dino me Ranj or Takleef Piy Ga. 

Or Egr Dekhy ke Barish ke Pani se Masah Kerta he to Is Khawab ke Daleel he ke Khouf or Gum se Aman Me Rehy ga

Or Egr Khawab Mein Barish Apky Sir Per Barsi he to Daleel he Ke Ap kisi Safer per Jao gy or Khair o Nafah ke Sath wapis aiy ga.

Or Egr Khawab Mein Barish Logo ke Siro per Tuffan ke Terha Bars rehi he to Is ke Daleel he ke is mulk mein na ghani mout aye ge.

Or Egr Khawab mein dekhy k Barish ke her ek katry se Awaz atti he to Daleel he k Apky Martby or Izaat ke awaz Zyada ho ge.

Or Egr Khawab mein Dekhy ke Barish ke Pani se Massah kia he to is ke daleel he k Khof or Dehshat se Aman me Ho ga.

Or Egr Khawab mein Dekhy Ke Boht Zyada Barish Hui he Jiss ke Wajha Se Nehry Nikl Aye he lekin Isy Koi Nuqsan nehi hua to Is Ke Daleel he k Badshah Sahti kery Ga lekin Sahib e Khawab os ke Shar se Mehfoz Rehy gy Or Egr Dekhy KeIn Nehro Se Guzra Nehi Ja Skta to Badshah Ke Shrart ko Apny ap se Dor Kery ga.

Or Egr Khawab Mein Dekhy K Paani Hawa Se Barish ke Terha Atti he to Daleel he k Allah Ka Azab or Bimari is Jagha Zahir ho Ge.


Hazrat Karmani (A.S) Ne Farmaya ke Egr Barish Ke Jagha Shahed (شہد) Barsta hua Dekhy to Is k Daleel h ke Namet Or Ganeemat Is Mulk Mein Boht Ho Ge Or Jo Cheez Asman Se Barsti hui dekhy Oski Taweel (تاویل) is Cheez ke Gense Se He.

Or Egr Dekhy Khawab Mein Barish Ka Paani Piya he or Barish Ka Paani Saaf or Roshen he to Daleel he K Apko isi Qader Khair Or Rahit Mily Ge.

Or Egr Dekhy Barish Ka Paani Siah (سیاہ) Yani Kalla he or taste B Nehi Sehi To Is Ke Daleel he K Isi Qader Bimari Or Ranj Uthaiy Ga.


Read More: Khawab Mein Saanp Dekhna ya Os ka Ghosht Khana Full Tabeer


Hazrat jafar sadiq (A.S) Ne Farmaya ke Khawab Mein Barish Ka Dekhna 12 Wajha Per he.

  1. Rehmat (رحمت)
  2. Barkat (برکت)
  3. Faryad Chahna (فریاد چاہنا)
  4. Ranj-o-Bimari (رنج و بیماری )
  5. Bala (بلا)
  6. Larai (لڑائی)
  7. Khon Bhana (خون بہانا)
  8. Fitna (فتنہ)
  9. Kehat (قحط)
  10. Amaan Pana (امان پانا)
  11. Kufar (کفر)
  12. Jhoot (جھوٹ)

Hum Umeed Kerty he Apko Ye Sari Detail Achi Or Helpful Lgi ho Egr Apko Apny Kisi Khawab Ke Tabeer Janna Chahty he to Ap humy Comments Box Mein Apna Khawab Bta Skty he Hum Koshish Kery gy Ky Apky Ke Khawab Ke Tabeer Jald Se Jald Ke Jiy.


khwab Mein Barish Dekhna Ki Tabeer


Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)